Artificial Illusion / Maya - Ek sainya kshamta

Intelligence, is angrezi shabd kaa prayog kya hum kabhi bure paripeksha mein karte hain. Nahin. Jabki Turing Test, jo pass karnaa Artificial Intelligence kaa uddeshya hai. Turing Test yaani ek aadmi ko ye bharosa dilao ki vaha ek vyakti ke saath baat kar raha hai jab vaha ek ganyantra (computer) ke saath baat kar raha hai. Iske mool mein hi dhokha hai. Yaha Artificial Intelligence nahi, artificial illusion ya maya hai.

Kya log kabhi yuh kehte hai, main 10 logon ko chaaku maarta hu, main 1000 log pe AK47 chalaata hu, main 10000 logon pe nuclear bomb phodta hu. Main sab logon ko talwaar ki nok pe rakhtaa hu. Jab koi vyakti kehta hai ki, "Main AI ke field mein kaam karta hu. Main 1000 logon kaa jeevan bhalaa karta hu." Ye kuchh iss prakaar hai ki "Main 1000 logon ko bewakoof banaata hu iss prakaar ki unhe pataa bhi naa chale. Main unhein mayajaal mein fasaata hu."

Aaj is Mayajaal kaa sthar itna ho chuka hai ki humein door hoti cheej sach hai ki jhooth ye bilkul pataa nahi chal sakta. Mumbai mein rehte hue, Bangalore ka concert, sach hai ki jhooth, pataa chal hi nahi sakta. Kolkata se container Italy pohoncha ki nahi, pataa nahi chal sakta. 10B tokens Mayajaal ke bike ki nahi, pataa nahi chal sakta. Is sthiti mein bewakoof banaane waale hi bina mehnat kiye dollar kamaa rahe hain.

Digital currency currency hi nahi hai. Hum jab tak stock to flow ratio ko naa samjhe aur iss ghatiya digital currency mein mulya samjhe, mehnat kaa mol nahi ho sakta. Adhiktam log isliye jhol karne ke kaaran kam logon ke saath vyapaar karte hai jabki vyapaar adhik logon ke saath karne se samaaj kaa bhalaa hota hai. Vyapaar samaaj ka bhalaa karne ke liye hai, samaaj ke shoshan ke liye nahi hai. Zaroorat se adhik hone par kisi bhi cheej vastu yaa sevaa ka mulya kam ho jaata hai yaha ek arthik siddhant humein bataaya gaya hai. Fir inn door ki mayajaal ke video, aadi kaa mulya kyon nahi kam hota?

Iss mayajaal se samaaj ke svaasthya ko bhi haani pohoch rahi hai. Aaiye, hum sab is Maya ko Artificial Illusion kahein, ise military ya police (kshatriya) ko saupen, aur bharosemand veer rakshakon se kahen ki iss digital kachre ko hataakar asli mulya kaa saadhan lao, aur svasthya ko haani pohonchaane waalon ko dande se sujaa do.

Sagar Acharya
[4th August 2025]